Har Sher Ghazal Ka Keh Raha Hai | Hafiz Ludhianavi | Amazing Urdu Shayari
Welcome to the World of Urdu Ghazals. Today we are reading Hafiz Ludhianavi's best work "Har Sher Ghazal Ka Keh Raha Hai." This urdu poetry is my favorite shayari. This is available both in Urdu and Hindi. Let us read this amazing ghazal by Ludhianavi.
ہر شعر غزل کا کہہ رہا ہے
تجھ کو بھی بچھڑ کے دکھ ہوا ہے
ہے شعلۂ جاں میں یاد تیری
کیا آگ میں پھول کھل رہا ہے
خورشید سحر طلوع ہو کر
شبنم کا مزاج پوچھتا ہے
کیا اس کو بتاؤں ہجر کے غم
جس پر مرا حال آئنہ ہے
میں کس سے کہوں فسانۂ غم
ہر ایک کا دل دکھا ہوا ہے
کیوں آ گئی درمیان دنیا
یہ تیرا مرا معاملہ ہے
کیا پاؤ گے بت سے فیض حافظؔ
پتھر بھی کہیں خدا بنا ہے
شاعر: حافظ لدھیانوی
Hafiz Ludhianavi's Ghazal in Roman Urdu
Har Sher Ghazal Ka Keh Raha Hai
Tujh Ko Bhi Bichar Ke Dukh Huwa Hai
Hai Shola Jaan Mein Yaad Teri
Kya Aag Mein Phool Khil Raha Hai
Khurshid Sehar Tulu Ho Kar
Shabnam Ka Mizaaj Poochhta Hai
Kya Is Ko Bataun Hijar Ke Gham
Jis Par Mera Haal Aaina Hai
Mein Kis Se Kahoon Fasana-e-Gham
Har Ek Ka Dil Dukha Huwa Hai
Kyun Agai Darmiyan Duniya
Yeh Tera Mera Maamla Hai
Kya Paoge But Se Faiz Hafiz
Pathar Bhi Kahin Khuda Bana Hai
See Har Sher Ghazal Ka Keh Raha Hai on picture here
Your wait is over! You can now get this Hafiz Ludhianavi's full ghazal written on picture also. Thank me later.
These following Urdu Ghazals are best of all the time
مرے خوابوں سے اوجھل اس کا چہرہ ہو گیا ہے
میں ایسا چاہتا کب تھا پر ایسا ہو گیا ہے
عرفان ستار
✒️✒️✒️✒️✒️✒️✒️✒️✒️✒️✒️✒️
جب سے اس شہر بے مکان میں ہوں
میں ترے اسم کی امان میں ہوں
خورشید ربانی
Comments
Post a Comment