Yaqeen'n Hamne Aapas Main Koi Waada Kiya Tha | Best Ghazal by Irfan Sattar
Irfan Sattar, a beloved Urdu poet, has gifted us with the ghazal "Yaqeen'n Hamne Aapas Main Koi Waada Kiya Tha" in Urdu. Read the full ghazal here.
مرے خوابوں سے اوجھل اس کا چہرہ ہو گیا ہے
میں ایسا چاہتا کب تھا پر ایسا ہو گیا ہے
تعلق اب یہاں کم ہے ملاقاتیں زیادہ
ہجوم شہر میں ہر شخص تنہا ہو گیا ہے
تری تکمیل کی خواہش تو پوری ہو نہ پائی
مگر اک شخص مجھ میں بھی ادھورا ہو گیا ہے
جو باغ آرزو تھا اب وہی ہے دشت وحشت
یہ دل کیا ہونے والا تھا مگر کیا ہو گیا ہے
میں سمجھا تھا سیئے گی آگہی چاک جنوں کو
مگر یہ زخم تو پہلے سے گہرا ہو گیا ہے
میں تجھ سے ساتھ بھی تو عمر بھر کا چاہتا تھا
سو اب تجھ سے گلا بھی عمر بھر کا ہو گیا ہے
ترے آنے سے آیا کون سا ایسا تغیر
فقط ترک مراسم کا مداوا ہو گیا ہے
مرا عالم اگر پوچھیں تو ان سے عرض کرنا
کہ جیسا آپ فرماتے تھے ویسا ہو گیا ہے
میں کیا تھا اور کیا ہوں اور کیا ہونا ہے مجھ کو
مرا ہونا تو جیسے اک تماشا ہو گیا ہے
یقیناً ہم نے آپس میں کوئی وعدہ کیا تھا
مگر اس گفتگو کو ایک عرصہ ہو گیا ہے
اگرچہ دسترس میں آگہی ہے ساری دنیا
مگر دل کی طرف بھی ایک در وا ہو گیا ہے
یہ بے چینی ہمیشہ سے مری فطرت ہے لیکن
بقدر عمر اس میں کچھ اضافہ ہو گیا ہے
مجھے ہر صبح یاد آتی ہے بچپن کی وہ آواز
چلو عرفانؔ اٹھ جاؤ سویرا ہو گیا ہے
شاعر: عرفان ستار
Irfan Sattar's ghazal in Roman Urdu and Hindi
Mere Khawabon Se Ojhal Uska Chehra Ho Gaya Hai
Main Esa Chahta Kab Tha Par Esa Ho Gaya Hai
Taaluq Ab Yahan Kam Hai Mulaqaaten Ziyada
Hujoom Shehar Main Har Shakhs Tanha Ho Gaya Hai
Teri Takmeel Ki Khwahish To Poori Ho Na Pai
Magar Ik Shakhs Mujh Main Bhi Adhoora Ho Gaya Hai
Jo Baagh Arzoo Tha Ab Wahi Hai Dasht-e-wehshat
Y Dil Kya Hone Wala Tha Magar Kya Ho Gaya Hai
Main Samjha Tha Siyegi Aagahi Chaak-e-junooñ Ko
Magar Ye Zakham To Pehle Se Gehra Ho Gaya Hai
Main Tujhse Sath Bhi To Umar-bhar Ka Chahta Tha
So Ab Tujhse Gila Bhi Umar-bhar Ka Ho Gaya Hai
Tere Aane Se Aaya Kon Sa Esa Tagayyur
Faqat Tark-e-Marasim Ka Madawa Ho Gaya Hai
Mera Aalam Agar Poochen To Unse Arz Karna
Ke Jesa Aap Farmate The Wesa Ho Gaya Hai
Main Kya Tha Aur Kya Hoon Aur Kya Hona Hai Mujhe
Mera Hona To Jese Ik Tamasha Ho Gaya Hai
Yaqeen'n Hamne Aapas Main Koi Waada Kia Tha
Magar Is Guftagu Ko Ek Arsa Ho Gaya Hai
Agarche Dastaras Main Aagahi Hai Saari Dunia
Magar Dil Ki Taraf Bhi Ek Dar Wa Ho Gaya Hai
Ye Be-cheni Hamesha Se Meri Fitrat Hai Lekin
Ba-qadar Umar Is Main Kuch Izafa Ho Gaya Hai
Mujhe Har Subah Yaad Aati Hai Bachpan Ki Wo Aawaz
Chalo Irfan Uth Jao Sawera Ho Gaya Hai
Poet: Irfan Sattar
This Ghazal's picture is here
Download shayari picture of the ghazal "Yaqeen'n Hamne Aapas Main Koi Waada Kiya Tha" by Irfan Sattar is uploaded below.
Urdu ghazals similar to Yaqeen'n Hamne Aapas Main Koi Waada Kiya Tha
سارا حساب جان و دل رکھا ہے تیرے سامنے
چاہے تو دے اماں مجھے چاہے تو درگزر نہ کر
مجید اختر
__________________________________
میں کس سے کہوں فسانۂ غم
ہر ایک کا دل دکھا ہوا ہے
حافظ لدھیانوی
Comments
Post a Comment