Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa Nahi Maloom | Ahmed Faraz's Best Urdu Ghazal

In this beautiful ghazal "Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa Nahi Maloom" Ahmed Faraz shows the deep thoughts and introspective emotions. This Urdu poetry is about ambiguity, uncertainty and complexities of life. Read this full ghazal here.

Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa Nahi Maloom | Ahmed Faraz's Best Urdu poem shayari Poetry
Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa Nahi Maloom Ghazal by Ahmed Faraz

کس طرف کو چلتی ہے اب ہوا نہیں معلوم
ہاتھ اُٹھا لئے سب نے اور دُعا نہیں معلوم

موسموں کے چہروں سے زردیاں نہیں جاتیں
پھول کیوں نہیں لگتے خوشنما نہیں معلوم

رہبروں کے تیور بھی رہزنوں سے لگتے ہیں
کب کہاں پہ لُٹ جائے قافلہ نہیں معلوم

سرو تو گئی رُت میں قامتیں گنوا بیٹھے
قمریاں ہوئیں کیسے بے صدا نہیں معلوم

منظروں کی تبدیلی بس نظر میں رہتی ہے
ہم بھی ہوتے جاتے ہیں کیا سے کیا نہیں معلوم

ہم فراز شعروں سے دل کے زخم بھرتے ہیں
کیا کریں مسیحا کو جب دوا نہیں معلوم

شاعر: احمد فراز

See full ghazal picture of Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa Nahi Maloom

Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa Nahi Maloom | Ahmed Faraz's Best Urdu full Ghazal Shayari
Ahmed Faraz beautiful ghazal picture

Read Ahmed Faraz's Ghazal in Hindi here

Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa Nahi Maloom
Hath Utha Liye Sab Ne Aur Dua Nahi Maloom

Mosamon Ke Chehron Se Zardiyañ Nahi Jati
Phool Kyun Nahi Lagte Khushnuma Nahi Maloom

Rehbaron Ke Tevar Bhi Rehzanon Se Lagte Hain
Kab Kahan Pe Lut Jae Qaafila Nhi Maloom

Sarv To Gai Rut Mai Qaamaten Bhi Gunwa Bethe
Qumriyaan Huin Kese Be-sada Nahi Maloom

Manzaron Ki Tabdeeli Bas Nazar Mai Rehti Hai
Ham Bhi Hote Jate Hain Kia Se Kia Nahi Maloom

Ham Faraz Sheron Se Dil Ke Zakham Bharte Hain
Kia Karen Maseeha Ko Jb Dawa Nahi Maloom

Poet: Ahmed Faraz

Urdu ghazals similar to Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa Nahi Maloom

Hamen To Shama Ke Donon Sire Jalane Hain | Best Urdu Ghazal by Arshad Abdul Hamid

--------------------------------

Khuda Hai Muhabbat, Muhabbat Khuda Hai | KHUMAR BARABANKAVI Ghazal

Comments