Apki Ankhon Mai Kia Mojood Hai | Abdul Hameed's Awesome Ghazal

Do you love urdu poetry? You won't like to miss Abdul Hameed Adam's famous ghazal Ap Ki Ankhon Mai Kia Mojood Hai. He has captured a scenery of love in this Urdu shayari. Read the full urdu and hindi ghazal here.


  Hai yaqeen'n kuch magar waazay nhi Ap ki aankhon mai kia mojood hai abdul hameed ada'am urdu poetry

Ghazal in Urdu

آگہی میں اک خلا موجود ہے
اس کا مطلب ہے خدا موجود ہے

ہے یقیناً کچھ مگر واضح نہیں
آپ کی آنکھوں میں کیا موجود ہے

بانکپن میں اور کوئی شے نہیں
سادگی کی انتہا موجود ہے

ہے مکمل بادشاہی کی دلیل
گھر میں گر اک بوریا موجود ہے

شوقیہ کوئی نہیں ہوتا غلط
اس میں کچھ تیری رضا موجود ہے

اس لیے تنہا ہوں میں گرم سفر
قافلے میں رہنما موجود ہے

ہر محبت کی بنا ہے چاشنی
ہر لگن میں مدعا موجود ہے

ہر جگہ ہر شہر ہر اقلیم میں
دھوم ہے اس کی جو ناموجود ہے

جس سے چھپنا چاہتا ہوں میں عدمؔ
وہ ستم گر جا بہ جا موجود ہے

شاعر: عبد الحمید عدم

Ghazal picture of Ap Ki Aankhon Mai Kia Mojood Hai

Ap ki ankhon mai kia moojood hai - Abdul Hameed Adam best urdu ghazal

Abdul Hameed Adam's Ghazal in Hindi

Agahi mai ek khila mojood hai
Iska matlab hai khuda mojood hai

Hai yaqeen'n kuch magar waazay nhi
Ap ki aankhon mai kia mojood hai

Bankpan mai aur koi shay nahi
Saadgi ki intaha mojood hai

Hai mukammal badshahi ki daleel
Ghar mai gar ek boriya mojood hai

Shoqia koi nahi hota ghalat
Is mai kuch teri raza mojood hai

Is liye tanha hoon mai garam safar
Qaaflay mai reh'numa mojood hai

Har muhabbat ki bna hai chashni
Har lagan mai madua'a mojood hai

Har jagah har shehr har aqleem mai
Dhoom hai uski jo na-mojood hai

Jis se chupna chahta hoon mai Ada'am
Wo sitam gar ja ba ja mojood hai

Poet:Abdul Hameed Adam

Ghazals Similar to Apki Ankhon Mai Kia Mojood Hai

Har Subah Meri Subah Pe Roti Rahi Shabnam | Famous Urdu Ghazal by Habib Jalib

--------------------------------

Baat Apni Kabhi Kahi Na Gai | Muneer Niazi | Famous Urdu Ghazal

Comments

Trending Poetry