Teri Talaash To Kia Teri Aas Bhi Na Rahe | Shehzad Ahmed's Ghazal

Teri Talaash To Kia, Teri Aas Bhi Na Rahe is widely read ghazal of Shehzad Ahmed. Read the full ghazal and also see thr poetry picture here.


  Teri talaash to kia, teri aas bhi na rahe
Ajab nhi ke kisi din ye piyas bhi na rahe shehzad ahmed urdu poetry shayari

Ghazal in Urdu

تِری تلاش تو کیا، تیری آس بھی نہ رہے
عَجب نہیں کہ کِسی دِن یہ پیاس بھی نہ رہے

ہر ایک سمت خلا ہی خلا نظر آئیں
خرابہء دلِ ویراں میں یاس بھی نہ رہے

غمِ فراق کی تلخی وہ دَشت ہے کہ جہاں
کوئی قریب تو کیا، آس پاس بھی نہ رہے

تِرا خیال ہی، پَر تول کر اُڑا لے جائے
کوئی اُمید شریکِ حواس بھی نہ رہے

تمام رَنگ ہے خُوشبو، تمام خُوشبو رَنگ
گُلوں سے رَنگ اُڑا لیں تو باس بھی نہ رہے

لُٹا ہے قافلہء آگہی دوراہے پر
زمانہ ساز تو کیا، خُود شناس بھی نہ رہے

کِسی طریق سے شہزادؔ دِل کو سمجھا لیں
نہ مُسکرائے مگر یُوں اُداس بھی نہ رہے

شاعر: شھزاد احمد

Ghazal picture of Teri Talaash To Kia Teri Aas Bhi Na Rahe

Teri Talaash To Kia Teri Aas Bhi Na Rahe | Shehzad Ahmed's Ghazal

Shehzad Ahmed's Ghazal in Hindi

Teri talaash to kia, teri aas bhi na rahe
Ajab nhi ke kisi din ye piyas bhi na rahe

Har ek simat khila hi khila nazar ayen
Kharab-e-Dil-e-Weeran yaas bhi na rahe

Gham-e-Firaaq ki talakhi wo dasht hai ke jahan,
Koi qareeb to kia, aas paas bhi na rahe

Tera khyal hi, par tol kr ura le jaye
Koi umeed shareek-e-hawaas bhi na rhe

Tamam rang hai khushbu, tamam khushbu rang
Gulon ke rang ura len to baas bhi na rhe

Luta hai qaafla-e-aagahi dorahay par
Zamana saaz to kia, khud shanaas bhi na rhe

Kisi tareeq se Shehzad dil ko smjha len
Na muskuraye magar udaas bhi na rhe

Poet: Shehzad Ahmed

Ghazals similar to Teri Talaash To Kia Teri Aas Bhi Na Rahe

Yaqeen'n Hamne Aapas Main Koi Waada Kiya Tha | Best Ghazal by Irfan Sattar

--------------------------------

Wo Teri Bhi To Pehli Muhabbat Na Thi Qateel | Best Ghazal of all the times in Urdu

Comments

Trending Poetry