Wo Teri Bhi To Pehli Muhabbat Na Thi Qateel | Best Ghazal of all the times in Urdu
Among best urdu ghazals, Wo Teri Bhi To Pehli Muhabbat Na Thi Qateel, takes the major part. This Urdu Ghazal is written by Qateen Shafai. In this peotry, like his other shayari, he discusses the real meaning of love and unfaithfulness. Read the full ghazal here in Urdu and Hindi.
Ghazal in Urdu
کیا عشق تھا جو باعث رسوائی بن گیا
یارو تمام شہر تماشائی بن گیا
بن مانگے مل گئے مری آنکھوں کو رت جگے
میں جب سے ایک چاند کا شیدائی بن گیا
دیکھا جو اس کا دست حنائی قریب سے
احساس گونجتی ہوئی شہنائی بن گیا
برہم ہوا تھا میری کسی بات پر کوئی
وہ حادثہ ہی وجہ شناسائی بن گیا
پایا نہ جب کسی میں بھی آوارگی کا شوق
صحرا سمٹ کے گوشۂ تنہائی بن گیا
تھا بے قرار وہ مرے آنے سے پیشتر
دیکھا مجھے تو پیکر دانائی بن گیا
کرتا رہا جو روز مجھے اس سے بد گماں
وہ شخص بھی اب اس کا تمنائی بن گیا
وہ تیری بھی تو پہلی محبت نہ تھی قتیلؔ
پھر کیا ہوا اگر کوئی ہرجائی بن گیا
شاعر: قتیل شفائی
full ghazal image of Wo Teri Bhi To Pehli Muhabbat Na Thi Qateel
Qateel Shafai's Ghazal in Hindi
Kia ishq tha jo baais-e-ruswai ban gaya
Yaaro tamam shehr tamashai ban gaya
Bin maange mil gae meri aankhon ko rat jagge
Mai jab se ek chaand ka sheedai ban gaya
Dekha jo uska dast-e-hinai qareeb se
Ehsaas goonjti hui shehnai ban gaya
Barham huwa tha meri kisi baat par koi
Wo haadsa hi waja-e-shanasai ban gaya
Paaya na jab kisi mai bhi awaargi ka shoq
Sehra simat ke gosha-e-tanhai ban gaya
Tha be'qarar wo mere aane se peshtar
Dekha mujhe to pekar-e-danaai ban gaya
Karta raha jo roz mujhe us se bad'gumaan
Wo shaks bhi ab uska tamanaai bna gaya
Wo teri bhi to pehli muhabbat na thi Qateel
Phir kia huwa agar koi harjaai ban gaya
Poet: Qateel Shafai
Other Ghazals Similar to Wo Teri Bhi To Pehli Muhabbat Na Thi Qateel
Apna Pata Na Apni Khabar Chhor Jaunga | Krishan Bahari Noor | Best Ghazal
--------------------------------
Har Subah Meri Subah Pe Roti Rahi Shabnam | Famous Urdu Ghazal by Habib Jalib
Comments
Post a Comment